Friday, November 30, 2012

Phir badala mausam

Sard hawaen le ke aayeen mausam ki pehli baarish...!
Dhul gaya sab ...saaf shaffaq !
Tasveeren sab saaf ho gayeen !
Phir badla mausam !
Aao naa pakhi !!!

Friday, May 13, 2011

Lo bhai ho gaye 5 states ke chunav

Kahin chali...Mamta ki aandhi.......Kahin jay jaylalitha ke saath hui aabadi.........

Janta ne Karuna par karuna nahin dikhayee.....Buddhdeb...ki Buddhi chakrai...

Achytanandan..pad se chyat ho gaye..Lal kile dhwast ho gaye.....

Kewal assam ne sam swar lagaya....aur phir Gogoi ko Tarun banaya....

Jaylalitha ki chhaya  Puducherry par bhi chhai.......

Nateejon ne ek baat bata de......jo vikaas ki baat...wahi ab jeetega..........

Mahilaon ka jhanda ab desh bhar mein lehrayega................................

Sheela ...Maya....Mamta...Jaya........ desh ke char rajyon ko disha dengee.....

udhar....Modi..Niteesh...Tarun... Beeju..Shivraj...Raman......badha rahen hain apne kadam.........

Bas ab ghanti bajne wali hai.....U P...Uttrakhand......Phir kendriya chunaav.....

Janta ne ab jaan liya.....kam dikhao.....to vote pao.......

naa jaat naa paat.....ab karo kam ki baat...........

Desh ki tarraki hi....baat hai asli....

Bhaaiya ab bahut ho gaya bhrashtachar.....ab yuwa karega sahi upchaar...

Ab nahin behlenge log naaron se....ab kam dekhenge log sarkaro ke....

Aadarniya Neta ji sandesh samajh lo.............ab apne ko badal lo....

jai ho Badlaav ki......Jai ho chunaav ki...

Jai Gantantra....

Jai Jantantra...

Jai Janta !


Monday, January 10, 2011

Pyar..Pyaz..Zindagi Aaj

Wah bhai wah....Naya zamana..naya daur...gharwali se pyaz kya mangli...NDA sarkar se lekar..UPA tak ka kaccha chittha khol diya.Yeh sarkar hai ya mehngai ki car. Atta..chini..daalen..masale..sab assman par..aur ab hum shakahariyon ke Pyaz ke dam bhi sone jitne mehnge kar diye.  Are sona phanna chod diya... petrol ki keematon ke karan tumahri khatara car mein long drive par jana chod diya...rasoi gas ke dam bada diye.. kitna man ko maaren..halat yeh hai ki is kadkadati thand mein do Pyaz ki pakaudi bhi nahin kha sakte.        
 Mantri ji ke wade itne ke teen hafte mein daam gir jayenge...bhul gaye shaayad...ki ek sarkar gir chuki hai Pyaz ke karan. Are tumeh kya tumahrey to bade bade sarkari bunglow mein.kithen garden mein  sabziyan ug jati hain...hum kahan uggayen..apne sir per. Aur suno ji yeh Pyaz jab tak sasti na ho jaye aur tumahara D A allowence na barh jaye tab tak apne kisi bhi dost ya mehman ko ghar mat bulana...farma dete hain..are begum yeh sharma ji aayen hai kuch pakuodi- shakuodi ho jaye. Aise order farmate hain jaise parliament ki canteen mein baithe hon..mujhe pata hai..wahan saare ke saare subsidy ke mazzey loot rahen. Mujhe bhi subsidy do.....mitron yeh sunte sunte meri halat aap soch sakte hain ki kaise ho gayee hai...na ghar ka na sarkar ka..ab retirement jo le liya hai...   Hey meri goverment..sarkar..ab to kar kuch vichar..apne bhutpurva  karmchari ki halat par daya kar...Pyaz ke dam kam kara de...pakaudi to door ki chheez biwi ka pyar bhi udan chu ho gaya hai. Ek pyar ek uska hi pyar bacha tha..baki to jeb aur jawani ke jaate jaate..furr ho gaye.
MUNNI wakai badnam hui sarkar tere liye..... aur idhr SHEELA bhi kah rahi hai..."Mein tere haath na aani".

Thursday, January 6, 2011

Jeewan Abhiyan-Ganga

Naya varsh..chupke-chupke dhundh aur sard hawaon mein lipta hua apne safar par.

Hum log mahengai ke chungal mein chatpatate... sarkari  mudraspheti  % ke aankron mein uljhe se tuk- tuki lagaye baithen hain.. ki koi  rajnetee ka jadugar  rag darbari  sunakar hum sabki pareshania door kar dega.

Khelon ke rashtramandliya bhrashtachariya abhiyan mein aahuti dekar.... ab 3G..aur 2G ki tarang aavratiyon ke beech NEERA peetey hue.. RAJA  se nyaya maang rahen hain.

Is SON chirriya desh ke hey ANANT prabhu MANMOHAN.... is bheeshan SHARAD kaal mein koi aisa upaya kijiye ki hum deshwasi is pawan pradooshit hawa mein khulkar saans le payen.....aur aapke gun gayen... Laaj rakho Girdhari.!